Wednesday, 11 May 2011

Kaash yeh duniya har ehsaas ko samajh sakti

Kash yeh duniya har ehsaas ko samajh sakti…
Hothon par hasi ke mayne samajh sakti….
Labo pe kapish ki yeh baatein samajh sakti..
Chahakti aankho ki bhi peeda samajh sakti…
Behte ashqo ki yeh surat samajh sakti…
Apne jo tanhaiyon mein jeena sikha dete hai…
Yeh unke armaano ki niyat samajh sakti…
Isi duniya ne apno ko thukraya hai yun hi…
Un becharo ko bhi isi ne apnaya hai yun hi…
Kudrat bhi khelti hai khel aankh micholi ka…
Yeh ishwar ke farmano ki seerat samajh sakti…
Main roya lipatkar use, sab haal kah diya…
Kaash woh hi mere dil ki gehrai samajh sakti….

1 comment: