Zindagi, umr bhar tujhe chahte rahe hum…
Tuney sila kya diya iska…
Dil mein dard aur aankho mein aansu….!!
Maine har lamha tera siddat se intezar kiya…
Badle mein tuney betanha bekarar kiya..!!
Ek woh pal tha jab tu meri zindagi mein aayi thi…
Meri sooni sooni viraan si duniya ko…
Apne pyar ki roshni se sajai thi…!!
Bhulta nahi hai woh waqt…
Jab tu mere saath hua karti thi…
Meri zindagi meri saas…
Mera ehsaas hua karti thi…!!
Ab tadapta hai dil ki tu mere saath nahi hai…
Subah aur sham ka ehsaas nahi hai…!!
Jaan hai ki yeh bhi jaati nahi…
Umra bhar teri yaadein mujhe tadpati rahi…!!
Ab chala hun duniya se vida lekar main…
Toh kyon rokte hai tere zazbaat mujhe tadpakar…!!
Jaane de mujhe nayi duniya mein jaane de…
Teri yaado ke siwa yahan koi saath nahi hai…!!
My heart still beats for u my love….!!
Miss u…!!